Wednesday, October 28, 2009

Khud Apni Pehchaan Se Anjaan Hoon Main

Khud Apni Pehchaan Se Anjaan Hoon Main,
Apna Tarruf Aapse Karwaoon Kaise

Kuch Simti Hui Chhoti Si Duniya Hai Meri,
Iss Dil Ki Gehraiyon Mein Aapko Le Jaoon Kaise

Aasman Ki Uchaiyon Tak Mere Khwab Bikhre Hain,
Apne Armaano Ki Hadd Main Dikhaoon Kaise

Muskurana Meri Aadat Hai Aansuon Ko Chhupa Kar,
Par Har Gham Ko Apni Hassi Se Behlaoon Kaise

Dosti Hi Meri Chahat Hai Aur Dost Meri Zindagi,
Ishq Se Apni Berukhi Ka Sabab Bataoon Kaise

Hokar Meri Sarhadon Mein Shamil
Aap Hi Jaan Lo Mujhe,
Kisi Aur Tarah Aapko ~ Azam ~ Se Milwaoon Kaise

Tuesday, October 27, 2009

Poochte ho to suno kaun hoon main

Poochte ho to suno kaun hoon main
chand simte hue ashaar hoon main

Sirf tareef se yahan kuch nahi hota
aapki duaon ka talabgaar hoon main

Bayaan-e-dil pesh karta hoon jabh
log kehte hai dil-e-beemar hoon main

Bolun agar khara to hoon shamsheer
aur agar likh daalon to talvaar hoon main

Tareef karne par agar utar aaon kabhi
to gulfaam hoon mai, gulzaar hoon main

Jazbaat ko savaarna jaanta hoon bahut khoob
shayeri ka sar-taj hoon, shahkaar hoon main

Lafzon se yun khelna sabko nahi aata
mujhe aata hai, samajhdaar hoon main

Hain aur bhi sukhanwar is hunar ke dost
math bolo ke 'Tanha' gunhagaar hoon main

My Introduction

Mai ek gurezaan lamha hun
Aayaam ke afsoon khane me
Mai ek tadapta katra hun
Masruf-e-safar jo rehta hai
Maazi ki surahi ke dil me
Mustakbil ke paimaine mein
Mai sota hun aur jaagta hun
Aur jaag ke fir so jata hun
Sadiyon ka purana khel hun mai
Mai mar ke amar ho jata hun…

Dil Ki Awaaz

Main ne her zulm saha jise pane ke liye ..
Woh mujhe chor gaya aaj zamane ke liye ..

Sari duniya main faqat aik ujale ke liye ..
Bus mera ghar he mila tum ko jalane ke liye ..

Hum ko qasid pe bharosa he nahi tha shayed ..
Yun chale aye khud he tum ko bulane ke liye ..

Un ki merzi hai ruthainge woh sau baar ..
Hum jo bethe hain yahan un ko manane ke liye ..

Kaise be-dil ho ke gul shaakh se tora tum ne ..
Chund lamhe apni jawani ko sajane ke liye ..

Jane yeh kaisi musibat hai mere seene main ..
Yaad kerta hai roz tumhain bhulane ke liye ..

Naqsh-e-pa tuk he mita doonga main jate jate ..
Kuch bhi choroonga na main laut aane ke liye ..