Monday, August 27, 2007

Wo Aur Kya Maange.......

Chaand Taaron Se Sajee Raat Bhalaa Kya Maange
Jis Ko Mil Jaaye Tera Saath Bhalaa Kya Maange

Lab Pe Aayi Na Duaa Aur Qubool Ho Bhi Gayee
Ab Duaaon Mein Uthey Haath Bhalaa Kyaa Maange

Jis Ke Khwaabon Ki Ho Takmeel Usey Kya Gham Ho
Mil Gayee Jis Ko Kaainaat, Bhalaa Kya Maange

Manzil-e-Ishq Se Aage Bhi Qadam Kya Jaaye
Rang-e-Mehndi Se Saje Haath Bhalaa Kya Maange

Paa Liyaa Jis Ke Andheron Ne Roshni Ka Sabab
Us Ke Mehke Huve Jazbaat Bhalaa Kya Maange

Monday, August 20, 2007

khamoshi baat karte hain

ajab hain silsile dekho
hamare chahaton k bhi
k aa kar samne tere
zuban khamoosh rehte hai
nigahain bat karte hain
nigahain jo kabhi chup hon
khamoshi bol padte hai
khamoshi bat karte hai

Friday, August 17, 2007

........mera Naam Likha hai

गुल'शन की बहारों ने सर-ए-आम लिखा है
फिर उस'ने गुलाबों से मेरा नाम लिखा है

बेह्ते हुए पानि पे ये लफ़्ज़ों के सितारे
शायद मेरे मेह्बूब ने ये पैगाम लिखा है

ये दर्द मुसल्सल मेरे दिल मैं रहेगा
कुछ सोच कर उस'ने मेरा अनंजाम लिखा है

नींदों ने कहा ख्वाब से ये हाथ मिलाकर
क्या अप'ने मुकद्दर मैं कभी आराम लिखा है

जिस'ने कभी मेरी जानिब मुड कर नही देखा
उस शक्स के हथों मैं मेरा नाम लिखा है

राहि अप'नी तो हर रात गुज़र'ती है सफ़र मैं
आँखों की ज़ंजीरों पे ये पैगाम लिखा है

Tuesday, August 14, 2007

Ab acha nahin lagta

Har Bat Pay Ab To Hasna Acha Nahi Lagta.
Gham_E_Ashiqi Say Hatna Acha Nahi Lagta.

Khirki Mai Mera Koi Intezar Nahi Karta
Ab.Teri Gali Say Ab Guzarna Acha Nahi Lagta.

Rahoon Mai Teri Yad Ke Jugnoo Hain Ja Baja.
Ab Saath Kisi Ke Chalna Acha Nahi Lagta.

Aye Jan Tumhain Kab Tak Har Bar Manaun Mai.
Har Bat Pay Bigarna Acha Nahi Lagta.

Suno Kabhi Ankhoon Ko Kah Detin Hain Yeh Bohut Kuch.
Har Bat Zaban Say Kehna Acha Nahi Lagta.

Sawan Ki Rutoon Ko Chup Chap Ganwa Deta Hun.
Darakhtoon Say Ab Lipatna Acha Nahi Lagta.

Dastor_E_Zaban Bandi Seekhi Hai Chot Kha Kar.
Halay Dil Sabhi Say Kehna Acha Nahi Lagta.
Ab Kisi Nigah_E_Shoq Ko Intezar Nahi Hai Mera.
Ab Ass Kisi Ki Rakhna Acha Nahi Lagta.

Mai Janta Hun Wafa Ki Manzil Nahi Hai Koi.
Par Is Ab Rah Say Palatna Acha Nahi Lagta.

Apni to duniya hi doston se hai.

Khushi bhi doston se hai
Gam bhi doston se hai

Takraar bhi doston se hai
Pyar bhi doston se hai

Roothna bhi doston se hai
Manana bhi doston se hai

Baat bhi doston se hai
Misaal bhi doston se hai

Nasha bhi doston se hai
Shaam bhi doston se hai

Zindagi ki shuruvaat bhi doston se hai
Zindagi main mulakaat bhi doston se hai

Mohabbat bhi doston se hai
Inaayat bhi doston se hai

Kaam bhi doston se hai
Naam bhi doston se hai

Khyal bhi doston se hai
Armaan bhi doston se hai

Khwaab bhi doston se hai
Maahol bhi doston se hai

Yaadein bhi doston se hai
Mulakaatein bhi doston se hai

Sapne bhi doston se hain
Apne bhi doston se hai

Ya yoon kahoon yaro
Apni to duniya hi doston se hai.
Sard raaton ke mehktay hoay sannaton main
jab kisi phool ko chumo gai to yaad aaonga" " :"

JISNE HUMKO CHAHA US KO HUM CHAH NA SAKE
JIS KO CHAHATE THE US SE HUM PA NA SAKEYE
SAMJH LO K DIL TOOTNE KA KHEL HAI
KISI KA TORA OR APNA BHE BACHA NA SAKE

kitnay dinnon se soya nahi hon us ki yaad mein
Meri boojal aankhoon ko koi to aa kar dekhay..!!

Hujoom-e-ghum se boojal thein Ankhain..
So kis kis khuwab ki tabeer kartay...!!!

JANY Q UTAR JATY HAIN DIL MAIN WO LOOG
JIN SE QUDRAT KY SETARY NAHI MELTY

Mausam tha bekarar tumhain sochtay rahay
kal raat baar baar tumhain sochtay rahay
barish hui tau ghar ke dareechay se lag kr hum
chup chaap sog'vaar tumhain sochtay rahay

DiL Kehta HaiTeri dosi hum es tarha nibhayein ge
Tu roz khafa hona hum roz manayein ge
Par maan jana manane se
Warna yeh bheegi palkein le ke kahan jayein ge

Umer ki rah main insaan badal jatay hain,,
waqt ki andhii main tofaan badal jatayhain,
souchtay hain ap ko yaad nakeray,,
ankhay band kertay hain or iraday badal jatay hain..

Har aik shab meri taza azab main guzri
Tumharay baad tumharay hi khwab main guzri
Main aik phool hon wo mujh ko rakh kay bhool gaya
Tamam umr usi ki kitab main guzri

Yeh Aankhain chor hoti hain

Kabhi tum ne nahi socha...!

Yeh Aankhain chor hoti hain
zabaan-e-shoq ban jati hain

Kanoo'n mein Dharakti hain
Kahi'n likkhaa nahi jo aaj tak
Yeh Woh bhi parhti hain

Magar jab Zabt ka lamha
Koi humko Nibhana ho
Tou bilkul Haaar jati hain

Bohat kamzoor hoti hain
Yeh Aaankhai'n Chor hoti hain...!

kabhi tum ne nahi socha ...????

tanhai

youn to hum tanhai main dil ko saza dete hain
naam lekhte hain tera lekh k mita dete hain
ghum ye nahi k hum ko zamana bura mila
rona ye hai k aise zamane ko hum mile

हर शब-ए-गम की सहर हो ये ज़रूरी तो नहीं,

हर शब-ए-गम की सहर हो ये ज़रूरी तो नहीं,

चश्म-ए-साकी से पियो या लब-ए-सगर से पियो,
बेखुदी आठों पहर हो ये ज़रूरी तो नहीं,

नींद तो दर्द के बिस्तर पे भी आ सकती है,
उनकी आगोश में सर हो ये ज़रूरी तो नहीं,

शेख करता तो है मस्ज़िद में खुदा को सज़दे,
उसके सज़दों में असर हो ये ज़रूरी तो नहीं,

सबकी नज़रों में हो साकी ये ज़रूरी है मगर,
सब पे साकी की नज़र हो ये ज़रूरी तो नहीं,